After days of being in solitude and calm, my mind took inspiration from these famous lines and my pen started working to complete a piece in the form of a poem.
'Yuun to mein tanhaa hi tha safar mein
Log judte gye karwaan banta gya….'
Kuch mili apni si shaksiyatein
Aur unke hi sahare me aage bdhta gaya…
Sikha mene bahut iss safar mein…
Naa jaane kyu fir bhi me pichadta gya…
Jo sath nibhate chale sang mere…
Unse hi me zindagi jeena sikhta gya…
Ek aasra mil sa gya tha uss karvaan ki chaav mein
Aisa laga jaise hu mein samundar ko cheerti naav mein
Jaana tha naa mene tab
Ki ye karvaan bhi chhalava sa hai
Is kaarvaan ka sahara sabko hai
Par apna yha koi na hai
Khud par shaq to kabhi na tha
Kabiliyat par ek anjana sa yakin sat ha
Koshish ko apni kamm na karunga
Apni manzil ko rahunga me dhundhta
Kal ko ye kaarvaan rahe na rahe sang mere
Manzil ko apni mein paake rahunga
Koi ho ya na ho sang sath dene ko
Sukoon ki chaav me ek chota sa aashiyana bana ke rahunga
Comments
Post a Comment