Likha mene jo bhi ajtak
Ab lagta hai fizool jaisa
Me likh kar bayan to kar sakta hu kafi jazbaat
Par kyu naa aye zubaan pe meri ek lehza aisa
Kyu na mein kisi ko mana paau apni baat ke liye
Kyu me rota rahu dikhane apne jazbaat ke liye
Hu to mein bhi insaan hi
Kyu fir me sochta rahu dusre insan ke liye
Chahta to akhir mein bhi huu khushiyan
par kyu mein unhe maang pata na hu
kyu jab lagta hai mujhe bura, me kisi ko dikha pata na hu
lagta hai khami hi hai meri ye
jaise hoti hai har shaksiyat mein
par aam taur par khamiya dusro ko dikh jaati hain
ye kaisi khami hui, jo sabko itni pasand aati hai…
ye kaisi khami hui, jo sabko pasand aati hai..
Comments
Post a Comment