Skip to main content

Posts

Doorie ka ek darr

Pyaaar Ki iss raat mein.......... aansuo ki barsaaat mein........ yaad tumhari ab bhi aati hai.......... Bhul jaau tumko mai......... aisa ho nahi sakta......... yaad na aau tumko mai........ asa me keh nahi sakta......... itna bas jaanta hu .......... Tum hi to the mere sabse khas....... tumse hi thi jeene ki aaas....... akela chal bhi lu agr mai ......... par saath tumhara chahta rahunga.......... khuda se mai tumhe hamesha maangta rahunga.......... isse pyaar kahun ..ya apni naadani........... tumhe apna banaane ki ..... is dil ne hai thaaani........ kosis karunga jee lu na bana paaya apnaa to......... nind khul jaane baad toot ta hi hai sapna to........

Tujhe paana tujh mein samaana

Saanse meri ab chadne lagi , jaise jaise nazare tera deedar krne lagi, madhoshi ke daaman mein mujhko ab khona hai.. tere kareeb aake teri god mein sona hai, apne pyar se tu hmesa mujhe smbhal lena, jab kahin bhi pad jau akela, mera haath tham lena, tere saath ke saaye mein jeewan apna tai krna hai, teri aagosh mein aakar hi mujhe ab apni khushi ko haasil krna hai.. .

Mere kanhaa ji krishan kanhaiyya

#8 nandgopal krishan kanhiyaa, tum ho mere raas rachiyaa, tumhari maasoomiyat pe mai vaara jaau, tumhari hi ek jhalak ko mai tarasa jaau, tham lo haath mera bhi jaise aapne dunia ko smbhala hai, rakh do sir pe haath, jaanta hu mai ki rabb mera dilwaala hai, de do mujhe bhi apne saath ka ye nayaab gehna, aapki hi seva ko ab hmesa tatpar rehna, kanha ji ko khilau mein khub makhan malai apne haatho se, bas ab doob jau mein unki bhakti ki baato mein..

Tu aur mai..... sur aur lai

Teri meri kahaani .... kuch likhi hai kuch hai zubaani..... kitna hum chahte hain ek duje ko ye to likh nahi skta... teri baato mein par hai mujhko boht zyada pyar dikhta.... jb b tu thodi zidd si krti h kisi baat par.... jb b tu hans ke muskura deti meri kisi baat par.... jaan le un palo mein lagti hai tu sbse pyari .... mere liye ek taraf to tu hai dusri taraf dunia saari.... Jab kabhi tu mujhe kisi baat par pyar se smjhati hai .. ya fir mere thak jane par pyar se sulati hai ... un palo ka mai ho chuka hu aadi... bs ab ye pal sahej lu me hmesa ke liye .. aa karlein hum ab shadi.... tere hone ka ehsaas sbse hai pyara.... tu meri pari hai tu hi mera sahaara...

NAAM KAR DO....

#5 Aaj bas ek chota sa kaam kar do... ye zindagi tum mere naam kar do.... wo mohhobatein jo tumhare dil mein hain... unhe zubaan pe laao aur bayaan kr do.... aaj bas tum kaho aur kehte hi jaao... mai bas aaj sunu tumhe, mujhe bezubaan kar do, hui puraani daastaan heer ranjha ki, mausam mohhobat ka fir se jawaan kar do, apne dil mein iss tarah chupa lo mujhe, sirf mein rahu isme mera asa mukaam kar do...

Sabkuch ab...

Tu sabkuch ho mera mai tujhse hi ban jau ab..... Tu dikhta mujhko apne kal mein.... roz tujhe mai paau ab.... Tu chale mere sath jeewan mein... tujhe sb sikhau ab.... tu khush rahe zindagi mein.... Tujhe main smbhalu ab.... tu aaye jse ho koi thandi pawan ... tujhse raahat pau ab... tu mil jae mujhme ab kahi.... Tujh me mai samau ab.... Tu kehde anmol tera hai ... ab kuch main bhulau ab... Tujh ko hi paakar mein.... sb kuch chod jaau ab.... ^_^@®$^_^

Baarish

Rimjhim jab barasti hai ye badara.... in barish ki bundo s sbko kitni khushi milti hai..... tapti dharti ko bhi is se raahat milti hai....       jab jab aati hai ye baarish... muskaan sbke chehare pe laati ye barish....        Kisan khush hota hai ki uski mehanat ko bhagwan ka ashirwaad mila hai....        aam insan khush hai ke garmi se usko nijaat mila hai....         kisi ko yaad aata hai apna pyar is barasaat ke mausam mein....         unka mann machalta hai milne ko iss suhane mausam mei....        Ke ye baaarish laati hai saugaat har ek k jeewan mein....        taro taazgi le aati hai ye sbke tann mann mein.... ^_^@®$^_^